dekh lo Khvaab magar Khvaab kaa charchaa na karo
log jal jaayenge suuraj kii tamannaa na karo
vaqt kaa kyaa hai kisii pal bhii badal sakataa hai
ho sake tum se to tum mujh pe bharosaa na karo
kirchiyaan TuuTe hue aks kii chubh jaayengii
aur kuchh roz abhii aaiinaa dekhaa na karo
[aks = reflection]
ajnabii lagne lage Khud tumhen apnaa hii vajuud
apne din raat ko itnaa bhii akelaa na karo
Khvaab bachchon ke khilaunon kii tarah hote hain
Khvaab dekhaa na karo Khvaab dikhaayaa na karo
be-Khayaalii men kabhii uNgaliyaa.N jal jaayengii
raakh guzare hue lamhon kii kuredaa na karo
mom ke rishte hain garmii se pighal jaayenge
dhuup ke shahar men "Aazer ye tamaashaa na karo