safar kii had hai vahaa.N tak ke kuchh nishaan rahe
chale chalo ke jahaa.N tak ye aasmaan rahe
ye kyaa uThaaye qadam aur aa ga_ii manzil
mazaa to jab hai ke pairo.n me.n kuchh thakan rahe
vo shaKhs mujh ko ko_ii jaal_saaz lagataa hai
tum us ko dost samajhate ho phir bhii dhyaan rahe
mujhe zamiin kii geharaa_iio.n ne daab liyaa
mai.n chaahataa thaa mere sar pe aasmaan rahe
ab apane biich maraasim nahii.n adaavat hai
magar ye baat hamaare hii darmiyaan rahe
sitaaro.n kii faslen ugaa sakaa na ko_ii
merii zamiin pe kitane hii Kisaaan rahe
vo ek savaal hai phir us kaa saamanaa hogaa
duaa karo ke salaamat merii zabaan rahe
No comments:
Post a Comment