Thursday, September 13, 2007

kuchh bhi nahi

dosti key naam par aisa bhi yahan khel hua
zamane ko kahi meri daastan, mujhsey kaha kuch bhi nahi

dekha mujhey, socha mujhey, tOka mujhey, roka mujhey
meri khataa hai har meri adaa, teri khaata kuch bhi nahi

khud ki jalan sey hi khud ka chaman jala liya
jab aag par kaaGaz rakhaa baaki bachaa kuchh bhi nahi

har shaam tak har subah tak hame hi woh samjhaate rahe
hame diye itne vachan, khud ney kiya kuch bhi nahi


dosaron ki kabra khodne ka shauk raha hai tumhe bohot
ab khud hi jo jaa gire, kya hal raha kuchh bhi nahi

do chaar din ki baat nahi jo chahera dekh kat jaayengey
dil ki baazi jab lagi, tumko mila kuchh bhi nahi

No comments: