Thursday, November 6, 2008

dukh fasaanaa nahii.n ke tujh se kahe.n

dukh fasaanaa nahii.n ke tujh se kahe.n
dil bhii maanaa nahii.n ke tujh se kahe.n

aaj tak apanii bekalii kaa sabab
Khud bhii jaanaa nahii.n ke tujh se kahe.n

ek tuu harf_aashnaa thaa magar
ab zamaanaa nahii.n ke tujh se kahe.n

be-tarah dil hai aur tujh se
dostaanaa nahii.n ke tujh se kahe.n

ai Khudaa dard-e-dil hai baKhshish-e-dost
aab-o-daanaa nahii.n ke tujh se kahe.n

No comments: