Tuesday, November 4, 2008

milta nahi koi shabd teri taareef ko

milta nahi koi shabd teri taareef ko
shayad ab nayi jubaan banani hogi
zameen par mumkin toh hogi nahi
farishton sey seekh kar aani hogi

*************************************************************
Baat sey baat banane ka, yeh andaaz kya achcha hai
phir chup sey muskane ka, yeh andaaz kya achcha hai ?

din bhar intezaar karao, yeh hame takleef nahi
khwaabon mai bhi satane ka, yeh andaaz kya achcha hai ?

doston sey kahtey ho key tum mere deewaney ho
par mujhsey yeh baat chupane ka, yeh andaaz kya achcha hai ?

kabhi toh aisa ho key tum bas hamse milne aa jao
sabsey dil milane ka, yeh andaaz kya achcha hai ?
*************************************************************
Dil Mein Naa ho Himmat, Tou Mohabbat nahiin miltee...
Khairaat mein itanii badee daulat nahiin miltee !!!

Kuchh log yuun hii, Shahar mein ham se bhii Khafaa hain,
Har ek se apanii bhii, tabiiyat nahin miltii, !!!

Dekhaa thaa jise maine, Koi aur thaa shaayad
Voh kaun hai jis se, terii surat nahiin miltii, !!!

Hanste huye cheharon se, Hai Duniya kii Zeenat,
Rone ko yahaan vaise bhii, Fursat nahiin miltee !
*************************************************************
Agar mai baat badal doo toh !!

Dost banogey tum mere kya
gar haalat badal doon toh
sun logey kya tum mujhko
gar mai baat badal doon toh

Pal tum bin hote hai mushkil
umr guzartey saal lagengey
kitna aasaan hoga mera jeena
gar jazbaat badal doon toh
gar mai baat badal doon toh

Naam tumhara likha tha dil par
aansoo aa kar mita gaye hai
khelogey kya phir iss dil sey
gar mai shah aur maat badal doon toh
gar mai baat badal doon toh

*************************************************************
chehrey pe mere zulf ko pheelao kisi din...kia rooz gharajtey ho baras jaoo kisi din!
mein apni her ik sans us rat ko dey don....ser rakh k seeney pe sooo jaoo kisi din!
*************************************************************
Kabhi Kuch Hay Kabhi Kuch Nahin

Kabhi kabhi mujhe najaney kyun
lagte ho tum ajnabeee

ajab sa hai
mere tumhare beech
kabhi kuch haiii...kabhi nahiin..

kabhi itne kareeb ke jall jayeiin
to kabhi itne hoo duur
kee aankheiin taras jayeiin..

Kabhi kabhi mujhe najaney kyun
lagte ho tum ajnabeee

mein samandar mein hooonn
kinaraaa dooo
saath chalna haii too
koiii too isharaa doo..

Kabhi kabhi mujhe najaney kyun
lagte ho tum ajnabeee

ajab sa hai
mere tumhare beech
kabhi kuch haiii...kabhi nahiin..

kabhi sub kuch haiii...kabhi kuch bhi nahiin..

ajab sa hai mere tumhare beech

*************************************************************
Pyar Kay Deep Jalany Walay,,
Kuch Kuch Pagal Hotay hain,,

Apni Jaan Se Janay Walay,,
Kuch Kuch Pagal Hotay hain,,


Jaan Se Pyare Logoon Se Bhi,,
Kuch Kuch Perda Lazim hai,,

Sari Baat Batanay Walay,,
Kuch Kuch Pagal hotay Hain,,,

*************************************************************
woh jo geet tum nay suna nahi meri umar bhar ka riaz tha
mere dard ki thee woh dastaan jisay tum hasi main ura gaye
Kitabon Say Daleelain Doon Ya Dil Ko Samney Rakhun
Woh Mujh Say Pooch Baithay Hain Mohabat Kis Ko Kehtay Hain
*************************************************************
socha karta tha aksar mai tumko kya likhu'
dil likhu ya mai tumko apni jaa likhu
insaa ko insaa toh likhte hai saare
aaj aao mai tumhe apna khuda likhu
suna hai mil kar tum bhool jaati ho
phir mujhey hi kyu itna yaad aati ho
yaad dilane tumhe meri
mai aaj apna naam pata likhu
yeh ajeeb see jo shaam hai
ussey kaisey akele bitao mai
tu ijazat dey agar
mai tujhey hi bas yaad kiya karu
sochta hu tujhey mai khuda likhu
iss zindagi key safar mai
koi aayega koi jayega
chaah bas ab itni hai
tujhey apna mai hamsafar rakhu
tujhey aaj mai apna khuda likhu
*************************************************************
aisaa lagataa hai zindagii tum ho
ajanabii jaise ajanabii tum ho


ab ko_ii aarazuu nahii.n baakii
justajuu merii aaKhirii tum ho


mai.n zamii.n par ghanaa a.Ndheraa huu.N
aasamaano.n kii chaa.Ndanii tum ho

*************************************************************
log dil vaalon ki baat khoob samajhate hongey
chand kahate hai kisse Khoob samajhate hongey

itni milatii hai mere shero se surat teri
log tujhako meraa mahaboob samajhate honge

mai samajhataa tha muhabbat kii zabaan Khushbu hai
phool se log ise Khoob samajhate honge

bhul kar apanaa zamaanaa ye zamaane vaale
aaj ke pyaar ko khoob samajhate ho.nge

*************************************************************
Mujhay ik baat kehni thi ,, tumhein itna batana tha
k meri zindagi ho tum ,,

Tumhein he sochta hon mein


Buhat masrof rehta hon ,, buhat say kaam hain mujh ko
magar tum say nahin ghafil ,,

Tumhein he sochta hon mein


Buhat say log miltay thay ,, magar jab say tumhein dekha
na janay kia howa mujh ko ,,

Tumhein he soochta hon mein


Mujhay auroon say kia lena ,, mera logon say kia rishta
meri dunya ho tum hi tum ,,

Tumhein he soochta hoon mein


Nigahoon mein basi ho tum ,, khayaloon mein samai ho
sukoon-e-dil ho tum mera ,,

Tumhein he soochta hoon mein

Buhat mushkil hai ye jeena ,, tumharay bin mera rehna
k meri saans mein ho tum ,,

Tumhein he sochta hon mein


Kabhi tanhai main betho ,, agar tanhai mein tum ho
tou itna yaad ker laina ,,

Tumhein he soochta hoon mein
*************************************************************
Ankhon main raha dil main uter k nahe dekha..
kashti k musafir ne kabhi samunder nahe dekha...
Pathar mujhe kehta hai meray chahney waala...

Main moom hon us ne mujhe chu k nahe dekha..
*************************************************************
dil ki chokhat pe jo ik deep jala rakha hai...tere loat aney ka imkan saja rakha hai...
sans bhi nahi letey thumein sochtey waqat...is kkam ko bhi hum ney kal per utha rakha hai...
rooth jatey ho to kuch or hi haseen lagtey ho..hum ney yeh soch k tum ko khafa rakha hai..
rota huwa choor gaye they ik din..hum ney us sham ko seeney se laga rakha hai..
chan nahi deta kisi bhi terhan mujhey..teri yadon ney jo tufan utha rakha hai
*************************************************************

No comments: