Wednesday, April 11, 2007

Usey Bhool Ja....

USSeY BHooL Jaa!!!!!!


Kahan Aa K Ruknay Thay Raastey
Kahan Morr Tha Usey Bhool Ja
Woh Jo Mil Giya Usey Yaad Rakh
Jo Nahin Milla Usey Bhool Ja....

Woh Teray Naseeb Ki Barishen
Kisi Aur Chatt Pay Barus Gain
Dil Bekhaber Meri Baat Sun
Usey Bhool Ja,Usey Bhool Ja....

Main To Gum tha Teray Hi Dehaan Main
Teri Aas Teray Gumaan Main
Saba Keh Gai Meray Kaan Main
Meary Saath, Aa Usey Bhool Ja....

Kisi Aankh Main Nahin Hai Ashk-e-Gham
Teray Baad Kuch Bhi Nahin Hai Kum
Tujhey Zindagi Ne Bhulla Diya
To Bhi Muskura, Usey Bhool Ja....

Kahin Chaak-e-Jaan Ka Rafoo Nahin
Kissi Asteen Pay Lahou Nahin
K Shahed-e-Raah-e-Malaal Ka
Na Khoon Baha, Usey Bhool Ja....

Kiyon Atta Hua Hai Ghubaar Main
Zindagi K Fashaar Main
Woh Jo Darj Tha Teray Bakhat Main
So Woh Ho Giya, Usey Bhool Ja....

Na Woh Aankh Hi Teri Aankh Thi
Na Hi Woh Khaab Teray Khaab Thay
Dil-e-Muntazir To Yeh Kis Liyey
Tera Jaagna, Usey Bhool Ja....

Yeh Jo Raat Din Ka Hai Khail Sa
Usey Dekh,Us Pay Yaqeen Na Ker
Nahin Mumkin Koi Bhi Mustaqil
Sir-e-Aiyna, Usey Bhool Ja....

Jo Bisaat-e-Jaan Hi Ulat Giya
Woh Jo Raastey Se Hi Palut Giya
Usey Rokney Se Hasool Kiya
Usey Mat Bula,Usey Bhool Ja....

To Yeh Kis Liye Shab-e-Hijer kay
Usey Her Sitarey Main Dekhna
Woh Falak Jis Pay Milley Thay Hum
Koi aur Tha, Usey Bhool Ja....

1 comment:

Asmita said...

Thankyou for posting the lyrics of this ghazal.. it's one of my favorites. You seem like you know urdu... Can you help me in deciphering it? "Kahin Chaak-e-Jaan Ka Rafoo Nahin": does chaak mean a tear? Jo jaan tear ho gaye, woh rafoo nahin ho sakti? Ad what does bakhat mean? "Jo Bisaat-e-Jaan Hi Ulat Giya" does bisaat mean bedding here? Meri jaan ka kambal ulat gaya? I would really appreciate your help.