Wednesday, July 7, 2010

Dr. Naseem Nikhat poetry

Mujhko Chiraag Ae Shaam ki surat jala ke dekh
Aa ae andheri raat mujhe aazmaa ke dekh

Maujein kabhi toh haarengi tere yakeen se
Saahil pe roz ek ghironda bana ke dekh

Tooti hui mundeir pe chota sa ek chiraag
Mausam se kah raha hai ke aandhi chala ke dekh

ubhroongi tere maathe pe takdeer ban ke main
Harf-ae-galat ki tarah mujhe tu mita ke dekh

Mana ki mai hazaar faseelon mai qaid hoon
lekin kabhi khuloos se mujhko bula ke dekh

Natkhat patang ban ke fazaaon mai main uduoo
Lekin woh kah raha hai tevar hawa ke dekh

3 comments:

Unknown said...

apki shayri behat khubsurat hoti he jo sidhe dil me utar jati he

Unknown said...

mujhe aur mere family ko apki shayri behat pasand ati he aap ke jaisa humne kbhi koi aur ni dekha

Sonal1902 said...

Abhilasha I saw the light and came back bright